KAUN HAI YE - Emiway Lyrics

KAUN HAI YE - Emiway Lyrics

Singer Emiway

Ae kya bolte sab log
Kya chal raha hai
Aaha Emiway Bantai
Maalum hai na

Sunn!

Haarega tu baar baar phir bhi karte reh koshish
Bheje mein sambhal ke rakhne ka beta yeh do cheez

Mayus nahi hone ka

PauseUnmute
Loaded: 12.14%
Fullscreen


Zyada nahi rone ka
Sanka din aata hai
Pehle khud ko karle notice
Par baahar nikal ke aa jis’se takleef hai
Stress ko vatta sutta lele jaake tapri se
Chhapri se poochhega to
Aisa tujhe woh salaah dega
Pareshan rehna chhod



Jawab tera kala dega
Bhala tera tere hath mein
Taakat bhara daant mein
Chaba ke thooko jo bhi
Gaddari kar raha sath mein
Dum chahiye baat mein
Dimaag sath mein
Kalakaar nai ban jaata beta
Koyi bhi ek raat mein
Karte ja karte ja karte ja



Panne ko bharte ja
Dil mera kehta tha ladte ja
Badhte ja badhte ja badhte ja
Khud mein woh bharte ja
Nai ho raha ghar pe ja
Lekin main dar ke nai jaane walon mein se be
Safalta milega woh din kab hai
Samajh mein aata nahi tha kuchh bhi
Sab sunaate the kya karoon main
Dil ka sunu, kiska sunu
Kis’se baat karun
Kise jaake mera rishta chunun
Zyada soch mat chal hone de flow mein
10 log khana khaaye 200 mein
Shoot ke baad struggle kiya maze liya
Subah subah uthke bhaagta tha
Neend nahi liya poora phatte jaagta tha
Music mera leke har jagah pe bhagta tha
Khud pe tha focus na kise pe jhaakta tha

Pata tha kabhi na kabhi to mauka milega
Apne bhi gamle mein phool zaroor khilenga
Khil gaya bhai
Gaana aisa banaunga duniya hilenga
Hil gaya bhai
Bohat mehanga hai gaana mera
Bol beta kaun lenga
Public hai sath mein deal bata khokhe ka
Bantai ki public hai kaun mujhe rokega
Baaki ko load karke gaane mein thokega
Naya naya flow beta har baar tu chaukenga
Ek baat ko sambhal ke sopenga
Aade jo phatega chopenga
Jis jisne mere ko mazaak mein liya tha
Woh bhi insaan abhi ghar baith ke sochenga

Kaun hai ye, kaun hai ye
Kaun hai ye, kaun hai ye
Soch soch
Kaun hai ye, kaun hai ye
Emiway Bantai malum hai na

Kaun hai ye, kaun hai ye
Kaun hai ye, kaun hai ye
Soch soch
Kaun hai ye, kaun hai ye
Emiway Bantai malum hai na

Nahi malum to sunn mere raste ko chunn
Dil kiya woh kiya mila sukoon
Tu khoya kahan pe hai khud ko to dhoondh
Mila dhun mere gaane ka motivate hoke gunn
Care for mummy papa ko jaake tu choom
Khud pe nai aane dena koyi bhi hukum
Kyon gota kiske bhi saamne jhukun
Main na rukun saala mera rasta hi alag hai

Sunte reh sunte reh sunte reh
Bhai tera pel dega
Koyi bhi tu dhun dede
Hum bhi to ghoomte the
Kya kya to din dekhe
Kharche karne se pehle paise bhi ginte the
Ghar pe jaake dekho mummy bhi chintit hai
Papa ka kaam nahi hua
Yahan scene beta full fit hai
Phir bhi lade hua khada
Jitna padhna tha sirf utna padha

Kabhi zabardasti nahi kiya ghar walon ne
Maa baap diya upar wale ne
Ek number kaun andar
Nahi padhna tha mujhe main gaana nikala
Kya marzi thi khuda ki ya alla taala
Jo bhid rahe the mujhse main bhasm kar dala
Sambhala maine mera value
Lakhon ka deal chhoda
Poochh munjhe bhai kyon laga thoda IQ
Bikta nahi iPhone saste mein
Family se koyi nahi tha music ke raste mein
Aaj beta nakshe mein Bharat hai proud
Indian hip-hop beta baj rela loud
Emiway Bantai pe kisko hai doubt
Main poora over khelunga tu pehla ball out

Eminem, Lil Wayne, Tec9ne, Russ
Macklemore and Snoop Dog sab kuchh allout
Maar ke artist log kar rele follow
Tarakki chalu hai oh jalne walon
Yeh kam kar rahe kaam aur main karwa raha swallow
Aage badhna hai har maheena video nikalo
Uchhalo mera naam par sambhaal ke
Apun kaam kar rahe
Baaki log dum maar ke chilli se
Purani soch se nai hilli se
Main kal wala banda nai
Aa beta mil le

Naya hai version 2.0
Bina matlab main kisko bhi kyun point doon
Main to gaflat mein bhi nafrat karta nahi
Dope gaana mera le joint two
Why can’t you show the love to the world
I got you if you gonna keep my word
Like I do
Even you can try ma shit
Give your 100%
Who the f**k is up

Kaun hai ye, kaun hai ye
Kaun hai ye, kaun hai ye
Soch soch
Kaun hai ye, kaun hai ye
Emiway Bantai malum hai na

Kaun hai ye, kaun hai ye
Kaun hai ye, kaun hai ye
Soch soch
Kaun hai ye, kaun hai ye
Emiway Bantai malum hai na

Haar nahi maan’ne ka kabhi kya
Jo aata hai aan do jo jaata hai jaan do
Kaam chalte rehna chaiye
Chahe woh koyi bhi kaam ho
Consistency is the key
Keep hustling and grinding
Stay motivated
Ek doosre ko badhawa do aur chadhawa lo
Ha ha

Bantai Bantai..

Peace out!




Description : This song is released on Jul 19, 2020. All credits goes to respective Owner or Artist. Please support Artist by watching their videos and by purchasing their merchandise.



Credits :
Artist & Lyrics - Emiway Bantai

Mix/Master - Emiway

Visuals by - Happy

Edited by - Emiway and Happy

Production - Bantai studio

Producer- Emiway Bantai



Post a Comment

0 Comments